Difference Between Hardware And Software in Urdu/Hindi
Hi guys how are you?i hope you are fine.aj main apky sath aik new interesting topic ly kr hazir hua hoon.Ajmain apko detail mein bataounga ky hardware kya hota hai?yeh kaisy kam krta hai?Saftware kya hai?aur is ki kitni types hoti hain.So,without wasting more time lets start....Saftware
Saftware aik instruction ka set hota hai.Saftwares computer ky liye likhy gay instruction ko kaha jata hai.Saftwares computer ky andar hi likhy jatay hain aur execute b andar hi hoty hain is liye hum saftwares ko deikh to sakty hain lakin touch nahin kr sakty.
For example,Human body ki example li jay toh human mein aik soul hota hai.soul ko hum touch to nahin kr sakty lakin hamara yaqin hai ky body ky andar soul hota hai tb hi body moving kr sakti hai.Agar soul human sy nikal jai to body kam nahin kr sakti.
Bilkul yehi kam saftwares ka b hota hai.Saftwares soul hoty hain jin ky beghair computer koi b kam nahin kr sakta.Asal meaning mein computer human language to samjhta hi nahin.Agar wo human language ko understand hi nahin krta to kam kaisay karega.Isi liye saftwares ko bnaya jata hai.Aur saftwares isi liye computer ky liye bohat important hty hain.
Types Of Saftware
Saftwares ki main two types hoti hain.
System saftwares
Application saftwares
System Saftwares
System saftwares saftware ki pehli type mein shaamil kiya jata hai.Yeh saftware computer ko operate krny ky liye design kiye jaty hain.Yeh saftwares aik computer ky liye bohat hi important hoty hain.computers saftwares instruction ko use kr ky hardware ko use krty hain.aur is tarah sy computer function krta hai.System saftwares mein all operating For example Window 7 vista,window 10,window 8/8.1 etc shaamil hain.yeh sb system saftwares hain.
Application Saftwares
Dosto application saftwares wo saftwares hoty hain jin ko hum apny interest ky liye istemaal krty hain.Application saftwares computer ky liye as much important nahin hoty q ky yeh koi operating system nahin hoty.Application saftwares specially b design kiye jaty hain aur package mein b available hoty hain.
In saftwares ko use kr ky aik insan bohat relaxe ho jata hai.Yeh saftwares human ky kam ko speed mein krny ky liye use kiye jaty hain
For example,Agar apko School students ki list tyar krni hai to apko pehly register ly kr us par list tyar krni hogi aur phir usy protect krna b mushkil hota hai.Agar ap us mein koi changes lana chahein to wo kafi mushkil ho jata hai.Isi kam ky liye application saftwares ko develop kiya jata hai,.
Application saftwares aptional hoty hain.Famous saftwares mein Adobe photoshop cs6,Notepad+,aur computer games shaaamil hain.
Hardware
Hardware computer ky un physical parts ko kaha jata hai jisy aplog touch kr sakty hain.Hardware b saftware ki tarah computer ka bohat hi important part/parts hoty hain.Hardware ki example hum phir sy human ki lety hain.Human soul ko touch nahin kiya ja sakta wo saftware hai.Human body ko touch kiya ja sakta hai isi tarah aik bottle b hardware hai.
Hardware mein apko bohat si example mil jati hain.
Examples
Dosto Hardware ki example agar li jay to hardware mein monitor,speaker,mouse,keyboard,system unit aur is mein majood all parts hardware mein shaamil ho jaty hainTypes
Agar ap hardware ko detail mein information gain krna chahty hain to click here par click kr ky read kr sakty hain.
Difference Between Hardware And Saftware
Saftware
- Saftware computer ky liye likhi gai instruction ko kehty hain
- Saftware ko touch nahin kiya ja sakta
- Saftware ko special design kiya jata hai
- Agar koi problem ho to saftware ko debug kiya jata hai
- Agar problem solve na ho to saftware ko re-install kiya jata hai.
- Computer mein all windows aur photoshop games etc saftwares hain. .
- Saftware ko hum quickly asani sy switch krty rehty hain according to our need hardware mein asa nahin kiya ja sakta
Hardware
- Computer hardware ko use kr ky kam krta hai.
- hardware ko touch kiya ja sakta hai For Example, Human soul For Example, Human Body.
- Hardware package hoty hain
- hardware mein agar koi problem ho toh usy repair kiya jata hai
- Agar problem solve na ho toh hardware ko replace kiya jata hai.
- Computer mein mouse,keyboard,system unit and all its parts,monitor aur speaeker hardware hain
- hardware mein asa nahin kiya ja sakta
Dosto main umeed krta hoon ky apko ab hardware aur saftwae ky darmyaan difference ka pta chl gya hoga so, see you again next time

0 Comments