Dil Hi Tou Hai Na Sung-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aaey Kiun - Mirza Ghalib
Dil hi tou hai, na sung-o-khisht, dard se bhar na aaey kiun
Roein gey hum hazaar baar, koi hamein sataaey kiun
Dair nahi, haram nahi, dar nahi, aastaan nahi
Baithey hein reh-guzar pe hum, ghair hamein uthaaey kiun
Jab wo jamaal-e-dil-afroz, surat-e-mehr-e-miroz
Aap hi ho nazaara-soz, pardey mein munh chupaaey kiun
Dashna-e-Ghamza jaan-sitaan, naawak-e-naaz bey-panaah
Tera hi aks-e-rukh sahi, samney tere aaey kiun
Qaiyd-e-hayaat-o-bund-e-gham, asal mein donon aik hein
Maut se pehle aadmi, gham se nijaat paaey kiun
Husn aur us pe husn-e-zan, reh gai bulahawas ki sharm
Apne aitamaad hai, ghair ko aazmaaey kiun
Waan wo ghuroor-e-izz-o-naaz, yaan ye hijaab-e-paas waz'aa
Raah mein hum milein kahaan, bazaar mein wo bulaaey kiun
Ghalib-e-khasta k baghair, kaun se kaam bund hein
Rooiyye zaar zaar kia, ki jiye haaey haaey kiun
0 Comments